Hijr K mosam main, ye barish ka barasna kaisa!
Ik sehra se samendar ka guzarna, kaisa ?
aey maire dil na pareshan ho, tanha ho kr!
wo taire sath chala kb tha, bicharna kaisa?
Jb shajar sath na de, haar samajh bethay toh!
zard patton ka hawaon se, ulajhna kaisa?
Chal muhabbat k samandar main utar jatay hain !
Pyar krna hai to phr mot se drna kaisa?
Bewafa kehnay ki B jurrat na krna aey dil !
us nai iqraar kiya kb tha, mukarna kaisa ?
No comments:
Post a Comment